hum un ko chhin kar lae hain kitne dawedaron se
shafaq se chandni-raaton se phulon se sitaron se
hamare zaKHm-e-dil dagh-e-jigar kuchh milte-julte hain
gulon se gul-ruKHon se mahwashon se mah-paron se
zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin
umidon se bharoson se dilason se sahaaron se
sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai
guphaon se pahaDon se bayabanon se ghaaron se
barabar ek pyasi ruh ki aawaz aati hai
kuon se pan-ghaTon se naddiyon se aabshaaron se
kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge
munajaton se fariyaadon se chiKHon se pukaron se
Ghazal
Hum un ko chhin kar lae hain kitne dawedaron se
Kaif Bhopali