hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur wo hain ki is par bhi bura man rahe hain
ye lutf to dekho ki wo mahfil mein meri samt
nigran hain ki jaise mujhe pahchan rahe hain
hum ko bhi to waiz hai bad o nek mein tamiz
hum bhi to kabhi sahib-e-iman rahe hain
mumkin hai ki ek roz teri zulf bhi chhu len
wo hath jo masruf-e-gareban rahe hain
ye sach hai ki bande ko KHuda dahr mein yun to
mana nahin jata hai magar man rahe hain
wo aae hain is taur se KHalwat mein mere pas
jaise ki na aane pe pasheman rahe hain
Ghazal
Hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar