hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe
jo gumrahi ke safar ka iada karte rahe
kai sawab to nisyan mein ho gae hum se
gunah kitne hi hum be-irada karte rahe
na sirf ahl-e-KHirad hi ka hum pe ehsan hai
ki ahmaqon se bhi hum istifada karte rahe
kuchh is saliqe se guzri hai zindagi apni
har ek tir pe hum dil kushada karte rahe
mere giroh ka rishta hai us qabile se
jo zindagi ka safar pa-piyaada karte rahe
hua hai aisa ki farigh iradatan bhi kabhi
hum apni rah mein kanTe ziyaada karte rahe
Ghazal
Hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe
Ahmad Nadeem Qasmi