hum un ke gham mein taDap rahe hain jo ghair se dil laga chuke hain
hamare dil mein hai yaad un ki jo hum ko dil se bhula chuke hain
bala-e-mahshar bhi sahal un ko azab-e-dozaKH bhi un ko aasan
jo teri ulfat mein apne dil par gham-e-judai uTha chuke hain
adu se ja kar karo ye baaten wahin guzaro tum apni raaten
tumhaari baaton mein aa chuke hum tumhein bahut aazma chuke hain
agar na aaen nazar na aaen nahin hai kuchh bhi KHayal is ka
kahan wo jaenge munh chhupa kar hamare dil mein jab aa chuke hain
ye kya qayamat hai ya ilahi ki un ki aamad ka haal sun kar
shakeb-o-sabr-o-qarar hosh-o-hawas pahle hi ja chuke hain
KHayal kuchh bhi nahin hai tujh ko but-e-pariwash hamara hum to
teri mohabbat mein naqd-e-jaan-o-dil-o-jigar bhi luTa chuke hain
buton ko dena na bhul kar dil na un pe hona zara bhi mail
nahin hai juz ranj un se hasil tujhe ye 'nadir' jata chuke hain

Ghazal
Hum un ke gham mein taDap rahe hain jo ghair se dil laga chuke hain
Nadir Shahjahanpuri