hum un ke dar pe na jate to aur kya karte
unhen KHuda na banate to aur kya karte
baghair ishq andhere mein thi teri duniya
charagh-e-dil na jalate to aur kya karte
hamein to us lab-e-nazuk ko deni thi zahmat
agar na baat baDhate to aur kya karte
KHata koi nahin pichha kiye hue duniya
jo mai-kade mein na jate to aur kya karte
andhera mangne aaya tha raushni ki bhik
hum apna ghar na jalate to aur kya karte
kisi se baat jo ki hai to wo KHafa hain 'nazir'
kisi ko dost banate to aur kya karte
Ghazal
Hum un ke dar pe na jate to aur kya karte
Nazeer Banarasi