hum umr ke sath hain safar mein
baiThe hue ja rahe hain ghar mein
hum luT gae teri rahguzar mein
ye ek hui hai umr-bhar mein
ab kaun raha ki jis ko dekhun
ek tu tha so aa gaya nazar mein
hasrat ko mila hai KHana-e-dil
taqdir khuli gharib ghar mein
aankhen na churao dil mein rah kar
chori na karo KHuda ke ghar mein
ab wasl ki raat ho chuki KHatm
lo chhup raho daman-e-sahar mein
main aap hi un se bolta hun
baiTha hun zaban-e-nama-bar mein
'muztar' karo dil hi dil mein shikwe
rah jaegi baat ghar ki ghar mein
Ghazal
Hum umr ke sath hain safar mein
Muztar Khairabadi