hum to yun uljhe ki bhule aap hi apna KHayal
han koi hota bhi hoga bhulne wala KHayal
ek patthar ki tarah se Dubta jata hai dil
ho raha hai aur gahra aur bhi gahra KHayal
aab-e-hairan par kisi ka aks jaise jam gaya
aankh mein bas ek lamhe ke liye Thahra KHayal
phir to kab apne rahe kab kar-e-duniya ke rahe
jab se hum par chha gaya is jaan-e-duniya ka KHayal
naqsh-e-hairat ho gai phir apni hairani pe chashm
zindagi aaina thi aur aaina-KHana KHayal
sham gahri ho ke phir utri phir is dil ko laga
ek KHayal aisa KHayal aisa KHayal aisa KHayal

Ghazal
Hum to yun uljhe ki bhule aap hi apna KHayal
Sameena Raja