hum to qusur-war hue aankh Dal ke
puchho ki nikle kyun the wo jauban nikal ke
aankhon se KHwab ka ho guzar kya majal hai
pahre biTha diye hain kisi ke KHayal ke
dil mein wo bhiD hai ki zara bhi nahin jagah
aap aaiye magar koi arman nikal ke
sad-shukr wasf-e-qad pe wo itna to phul uThe
mazmun buland hain mere aali KHayal ke
lazzat yahi khaTak ki jo hai rah-e-ishq mein
rakh lunga dil mein panw ke kanTe nikal ke
dil rah gaya ulajh ke nigahon ke tar mein
achchha wo jaan Dal gae aankh Dal ke
suniye to ek zara mere ashaar-e-dardnak
laya hun main kaleje ke TukDe nikal ke
aaina hai jo un ka musahib to kya hua
hum bhi kabhi the dekhne wale jamal ke
likkhi hai kha ke KHun-e-jigar ye ghazal 'jalil'
misre nahin hain sher ke TukDe hain lal ke
Ghazal
Hum to qusur-war hue aankh Dal ke
Jaleel Manikpuri