hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah
log nikle hi nahin DhunDne walon ki tarah
jaane kyun waqt bhi aankhen bhi qalam bhi lab bhi
aaj KHamosh hain guzre hue salon ki tarah
hajaten zist ko ghere mein liye rakhti hain
KHasta diwar se chimTe hue jalon ki tarah
raat bhigi to sisakti hui KHamoshi se
aasman phuT paDa jism ke chhaalon ki tarah
sari rahen sabhi sochen sabhi baaten sabhi KHwab
kyun hain tariKH ke be-rabt hawalon ki tarah
zindagi KHushk hai viran hai afsurda hai
ek mazdur ke bikhre hue baalon ki tarah
zaKHm pahne hue masum bhikari bachche
safha-e-dahr pe bikhre hain sawalon ki tarah

Ghazal
Hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah
Sarwar Arman