hum to din-raat isi soch mein mar jaenge
tujh se bichhDenge to kis haal mein ghar jaenge
han isi peD ke niche main lahu roya tha
log is rah se guzrenge to Dar jaenge
hum hain hassas bahut hum ko bacha kar rakhna
phir na simTenge jo ek bar bikhar jaenge
ab to sahra bhi gulistan hai bahaar aane par
shahr ko chhoD ke diwane kidhar jaenge
aa gai nind use bhul bhi jaega 'asir'
aa gaya sabr mujhe zaKHm bhi bhar jaenge

Ghazal
Hum to din-raat isi soch mein mar jaenge
Ram Nath Aseer