hum to ab jati ruten hain hum se ye ighmaz kyun
jurm kya hum ne kiya hai aap hain naraaz kyun
mal-o-zar se bahra-e-wafir na dena tha agar
ai KHuda tu ne diya mujh ko dil-e-fayyaz kyun
rishta-e-zar rishta-e-KHun se hai baDh kar mo'tabar
warna chahat ke liye qarza bane miqraaz kyun
KHesh-bini jab ki is ka kesh-e-kam-andesh tha
dosti ka pas karta banda-e-aghraaz kyun
kya nai tahzib hai takzib-e-aqdar-e-salim
shahr mein phaile hue hain jins ke amraaz kyun
lutf-andoz-e-riyaz-e-dahr kyun hote nahin
dawara kam-zarf hote hain tere martaz kyun
kuchh haqaeq ko agar main ne kiya hai be-naqab
ho gae naraaz mujh se sher ke nabbaz kyun
puchhte hain de ke mujh ko dost-dari ka fareb
'kirshn'-mohan doston se is qadar e'raaz kyun

Ghazal
Hum to ab jati ruten hain humse ye ighmaz kyun
Krishna Mohan