hum to aasan samajhte the ki rasta kam tha
is masafat mein mohabbat ka ilaqa kam tha
yun to diwar ke pahlu mein khaDe the hum bhi
dhup aisi thi ki diwar ka saya kam tha
kaisa lamha tha ki hum tark-e-safar kar baiThe
KHwab kam the na tere gham ka asasa kam tha
qamat-e-husn mein sani hi nahin tha us ka
shar-e-be-faiz tera zauq-e-tamasha kam tha
ek talluq tha jo TuTa hai ki hum TuTe hain
phir bhi lagta hai ki hum ne use chaha kam tha

Ghazal
Hum to aasan samajhte the ki rasta kam tha
Khalid Mahmood Zaki