hum tere shahr se yun jaan-e-wafa lauT aae
jaise diwar se Takra ke sada lauT aae
na koi KHwab na manzar na koi pas-manzar
kitna achchha ho jo bachpan ki faza lauT aae
aa gain phir wahi mausam ki jabin par shiknen
masale phir wahi is bar bhi kya lauT aae
apne aangan mein koi peD laga tulsi ka
shayad is tarah se phir KHwab tera lauT aae
jism se sote pasine ke ubal uTThe hain
ab to behtar hai ki masmum hawa lauT aae
lauT hum aae 'mubarak' yun dar-e-jaanan se
jaise aakash se muflis ki dua lauT aae
Ghazal
Hum tere shahr se yun jaan-e-wafa lauT aae
Mubarak Ansari