hum the kisi ka dhyan tha wo bhi nahin raha
ek rabt-e-jism-o-jaan tha wo bhi nahin raha
jhagDa tha mera jis se wo duniya kidhar gai
ek shaKHs darmiyan tha wo bhi nahin raha
misl-e-charagh tirgi-e-jism-o-jaan mein dil
ek shahr-e-be-nishan tha wo bhi nahin raha
inTen bichhi thin jis mein wo ek tang si gali
us mein mera makan tha wo bhi nahin raha
duniya meri nahin na sahi tum to sath ho
kya kya hamein guman tha wo bhi nahin raha
nuqta bani nigah se ojhal hui zamin
sar par ek aasman tha wo bhi nahin raha
'mushaf' tumhaara nam yahin tha aur us pe han
ek surKH sa nishan tha wo bhi nahin raha
Ghazal
Hum the kisi ka dhyan tha wo bhi nahin raha
Mushaf Iqbal Tausifi