hum tashaKHKHus kho rahe hain zat ki tashhir mein
KHud bikharte ja rahe hain koshish-e-tamir mein
ye bhi sochen kash izzat kya hai aur zillat hai kya
wo jo ruswa ho rahe hain hasrat-e-tauqir mein
aaj naKHl-e-maslahat ki chhanw mein hai mahw-e-KHwab
parwarish jis ki hui thi saya-e-shamshir mein
ai suKHnawar tum jo kahte ho wo kyun karte nahin
kyun ham-ahangi nahin kirdar aur tahrir mein
us ki subhen dil-kusha hain us ki shamen jaan-fiza
kho gaya jo shaKHs lutf-e-nala-e-shab-gir mein
ho ata jis shaKHs ko nur-e-basirat ai 'jalal'
dekh leta hai musawwir ko bhi wo taswir mein

Ghazal
Hum tashaKHKHus kho rahe hain zat ki tashhir mein
Qasim Jalal