اردو हिंदी
Hum tark-e-talluq ka gila bhi nahin karte | Shaahi Shayari
hum tark-e-talluq ka gila bhi nahin karte

Ghazal

Hum tark-e-talluq ka gila bhi nahin karte

Shams Zubairi

;

hum tark-e-talluq ka gila bhi nahin karte
tum itne KHafa ho ki jafa bhi nahin karte

tum shauq se elan-e-jafa par raho nazan
hum jurat-e-izhaar-e-wafa bhi nahin karte

mana ki hansi bhi hai ada aap ki lekin
itna kisi bekas pe hansa bhi nahin karte

hum jurat-e-guftar ke qail to hain lekin
har baat sar-e-bazm kaha bhi nahin karte

har haal mein maqsad hai safar mahw-e-safar hain
nakaami-e-paiham ka gila bhi nahin karte

muddat se hai KHamosh faza dar-o-rasan ki
ab jurm-e-wafa ahl-e-wafa bhi nahin karte

kya jaaniye kis rang mein hai shams 'zubairi'
but ek taraf zikr-e-KHuda bhi nahin karte