hum shahr ki diwaron mein khinch aae hain yaro
mahsus kiya tha ki idhar sae hain yaro
rahne bhi do kya puchh ke zaKHmon ka karoge
ye zaKHm agar tum ne nahin khae hain yaro
chheDo koi baat aisi ki ehsas ko badle
hum aaj zara ghar se nikal aae hain yaro
kya sochte ho taza lahu dekh ke sar mein
ek dost-numa sang se Takrae hain yaro
aise bhi na chup ho ki pasheman ho jaise
kuchh tum ne ye sadme nahin pahunchae hain yaro
andaz tumhein hoga ki baat aisi hi kuchh hai
warna kabhi hum aise bhi ghabrae hain yaro
wo qisse jo sun lete the hum az-rah-e-aKHlaq
ab apne yahan waqt ne dohrae hain yaro
ab tum ko sunate hain ki ehsas ki tah se
ek naghma bahut Dub ke hum lae hain yaro
jate hain ki guzra hai ye din jin ki KHizan mein
aankhon mein bahaar un ke liye lae hain yaro
Ghazal
Hum shahr ki diwaron mein khinch aae hain yaro
Mahshar Badayuni