hum shayad kuchh DhunD rahe the yaad aaya to rote hain
taza taza us ko kho kar jaane kya kya khote hain
ek taraf ye duniya-dari ek taraf wo KHalwat-e-gham
duniya walo har mahfil mein dekho hum bhi hote hain
pahli kiran ka dhaDka kya kya dil ko masakta jae hai
bhor bhae jab kunj mein ghunche munh shabnam se dhote hain
tujh ko tere gul phul mubarak yan zid Thahri jine se
hum to apni rah mein pyare chun chun kanTe bote hain
tere dukh-sukh tu hi jaane hum ne bas itna jaana hai
tujh se pahle jag uThte hain tere baad hi sote hain
sej ko suna kar gae KHuban shikan shikan fariyaad kare
pahlu pahlu chaunk uThe hum karwaT karwaT rote hain
us ne bagh se jate jate mausam-e-gul bhi bandh liya
'shaz' ko dekho diwane hain baiThe haar pirote hain
Ghazal
Hum shayad kuchh DhunD rahe the yaad aaya to rote hain
Shaz Tamkanat