hum se wo be-ruKHi se milta hai
ji ko paigham ji se milta hai
hum ko bawar na tha adawat ka
silsila aashiqi se milta hai
rishta-e-irtiqa-e-insani
zehn ki tishnagi se milta hai
dast-e-taKHil ko koi daman
baKHt ki yawari se milta hai
dosti aur dushmani ka maza
dost ki dushmani se milta hai
zauq baDhta hai aashnai ka
jab wo beganagi se milta hai
ruKH ko tazin ka naya pahlu
aap ki be-ruKHi se milta hai
hai wo milta hi kis liye 'hamid'
hum se jo be-dili se milta hai
Ghazal
Humse wo be-ruKHi se milta hai
Syed Hamid