hum se ruKHsar wo lab bhul gae
zindagi karne ka Dhab bhul gae
raat-din mahw raha karte the
jaane kya thi wo talab bhul gae
aa gaya sar pe Dhalta suraj
raat ke shor-o-shaghab bhul gae
ranj-emahrumi-e-dil yaad raha
raunaq-e-bazm-e-tarab bhul gae
naqsh-e-diwar bane baiThe hain
yaad itna hai ki sab bhul gae
zindagi bigDi to aisi bigDi
jo bhi the ranj-o-tab bhul gae
dil mein kya kya na the arman 'salam'
shukr sad shukr ki sab bhul gae
Ghazal
Humse ruKHsar wo lab bhul gae
Ain Salam