hum se pahle bhi is jag mein pit hui hai man TuTe hain
jaane kitne farhadon ke parbat parbat sar phuTe hain
pit-nagar ki amar-kahani tera jauban mere nain
baqi is sansar ke bandhan meri sajni sab jhuTe hain
rup milan ki aasha le kar hum jiwan jiwan ghume hain
sadiyon aash niwash ke lamhe sham saweron se phuTe hain
birha aur sanjog katha hain maya-jal ki chanchalta hain
warna premi man bandhan mein ek duje se kab chhoTe hain
rangin sapne dekhne walo dekho tum nirdhan to nahin ho
mujh nirdhan ne jitne rangin sapne dekhe sab jhuTe hain

Ghazal
Humse pahle bhi is jag mein pit hui hai man TuTe hain
tufail Dara