اردو हिंदी
Humse na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap | Shaahi Shayari
humse na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap

Ghazal

Humse na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap

Mirza Asman Jah Anjum

;

hum se na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap
hum na sunenge hazrat-e-naseh lakh hamein samjhaen aap

sharm-o-haya ke parde mein karte the hum pe jafaen aap
aap ko hum pahchan gae munh aanchal se na chhupaen aap

zulf ka tere in se koi mazmun jo raqam ho jata hai
fart-e-KHushi se le leta hun hathon ki apne bulaen aap

wah-ji wa bas dekh liya kya waza ki hai yahi pabandi
kahte is ko hain sharm-o-haya hum jaan se jaen na aaen aap

sun chuke haal-e-pursish-e-mahshar waz ki 'anjum' had bhi hai
ye to nahin hai hukm-e-KHuda roz ek qayamat Dhaen aap