hum se mat puchho ki ek wo chiz kya donon mein hai
jo milata hai hamein wo fasla donon mein hai
us ke milne ki KHushi ho ya bichhaD jaane ka gham
hosh rahta hi nahin aisa nasha donon mein hai
us ki aankhen kan hain aur meri aankhen bhi hain honT
apni apni kahne sunne ki ada donon mein hai
git ke sanche mein Dhaalun ya ghazal ke rup mein
par tere hi nam ka ek qafiya donon mein hai
yun kisi aawaz ka chehra nahin hota magar
jis mein aawazen dikhen wo aaina donon mein hai
is ko aastikta kaho chahe nastikta 'kunwar'
donon KHat us ke hi hain us ka pata donon mein hai
Ghazal
Humse mat puchho ki ek wo chiz kya donon mein hai
Kunwar Bechain