اردو हिंदी
Humse kis ka kaam banega koi kya le jaega | Shaahi Shayari
humse kis ka kaam banega koi kya le jaega

Ghazal

Humse kis ka kaam banega koi kya le jaega

Kanti Mohan Soz

;

hum se kis ka kaam banega koi kya le jaega
apna chhappar phunkne wala pas hamare aaega

hum hain nigoDe hum hain bhagoDe hum hain nikamme hum kahil
jis dam mahfil rang pe hogi hum se raha na jaega

ghuncha ghuncha zahr-aluda buTa buTa saghar-e-sam
is gulshan mein ishq ka naghma chheD to mana jaega

wae qayamat sar hai salamat sune paDe hain dar-o-rasan
hum ko baghi kaun kahega rahbar kaun banega

'soz' hamare baad jahan ko yaad hamari aaegi
KHasta dilon ki aah-o-buka ko bijli kaun banega