hum se karta hai abas guftar kaj
rast-bazon se na ho ai yar kaj
ishq-e-abru se teri ai kaj-kulah
bandhta hai mah-e-nau dastar kaj
hai tawazo bhi buzurgi ka nishan
kyun na ho piri mein jism-e-zar kaj
kaj-rawi is zulf ka hai KHassa
jis tarah hai mar ki raftar kaj
hat yun qatil-jabinon ka laga
jis tarah pahne sanam zunnar kaj
rasti ek baat mein us ki nahin
kaj rawa kaj-maj zaban guftar kaj
qasr-e-tan piri mein jhuk kar kya ruke
gir paDe kohna jo ho diwar kaj
ja-e-nazzara hai phirte hain hasin
Topiyan rakh kar sar-e-bazar kaj
kaj-numa aaina-e-alam hai 'arsh'
be-sabab TeDhe abas hain yar kaj
Ghazal
Humse karta hai abas guftar kaj
Meer Kallu Arsh