اردو हिंदी
Humse do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf | Shaahi Shayari
humse do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf

Ghazal

Humse do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf

Shad Lakhnavi

;

hum se do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf
aankh is taraf lagai hai kan aur ki taraf

abru se hum shahid mizha se raqib hun
talwar idhar lagaiye ban aur ki taraf

said-e-zabun wo hun jo rawan tir idhar hua
us ki qaza ne boli kaman aur ki taraf

hum bekason ki qabr siwa hargiz ai falak
nam-gir ko na abr ke tan aur ki taraf

yarab kare jo husn ki KHairaat wo sanam
mere siwa kare nahin dan aur ki taraf

utre na kis tarah meri aankhon mein KHun 'shad'
deta mujhe dikha ke hai pan aur ki taraf