hum se chunan-chunin na karo hum nashe mein hain
hum jo kahen nahin na karo hum nashe mein hain
nashsha koi Dhaki-chhupi tahrik to nahin
har-chand tum yaqin na karo hum nashe mein hain
aisa na ho ki aap ki banhon mein aa giren
aankhon ko KHashmagin na karo hum nashe mein hain
baaten karo nigar o bahaar o sharab ki
azkar-e-shar-o-din na karo hum nashe mein hain
ye waqt hai 'adam' ki tawazoa ka sahibo
tang apni aastin na karo hum nashe mein hain
Ghazal
Humse chunan-chunin na karo hum nashe mein hain
Abdul Hamid Adam