اردو हिंदी
Ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra | Shaahi Shayari
ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

Ghazal

Ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

Ameer Minai

;

ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra
lam ka KHub alif madd-e-muqabil Thahra

dida-e-tar se jo daman mein gira dil Thahra
bahte bahte ye safina lab-e-sahil Thahra

ki nazar ru-e-kitabi pe to kuchh dil Thahra
maktab-e-shauq bhi quran ki manzil Thahra

nighat-e-gul se pareshan hua us ka dimagh
KHanda-e-gul na hua shor-e-anadil Thahra

najd se qais jo aaya mare zindan ki taraf
der tak gosh-bar-awaz-e-salasil Thahra

husn jis tifl ka chamka wo hua bais-e-qatl
jis ne talwar sambhaali mera qatil Thahra

KHat jo nikla ruKH-e-jaanan pe mila bosa-e-KHal
yahi dana faqat is kisht ka hasil Thahra

alam ek nuqta jo mashhur tha ai josh-e-junun
ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil Thahra

dur jab tak the taDapta tha mein kaisa kaisa
pas aa kar wo jo Thahre to mera dil Thahra

kasrat-e-dagh se gul-dasta bana dil to kya
zinat-e-bagh na aaraish-e-mahfil Thahra

dauDta qais bhi aata hai nihayat hi qarib
ek zara naqe ko ai sahib-e-mahmil Thahra

dam jo betab tha muddat se mere sine mein
tegh-e-qatil ke tale kuchh dam-e-bismil Thahra

hum baDi dur se aae hain tumhaara hai ye haal
ghar se darwaze tak aana kai manzil Thahra

ab tak aati hai sada turbat-e-laila se 'amir'
sarban ab to KHuda ke liye mahmil Thahra