ham-safar yaad hain us ke jo safar KHatm hua
jaane kab kaun si sazish ho ye Dar KHatm hua
be-sabab sab ko hi sabqat ke junun ne mara
aise bikhre hain ki rishton ka asar KHatm hua
eatibar uThte hi ye kaisa taghayyur aaya
dil ka viran makan rah gaya ghar KHatm hua
shaKH hi shaKH ki dushman thi samar kya deta
phulne-phalne se pahle hi shajar KHatm hua
jaanta tha ki mere git bhi kho jaenge
tera mujh se jo talluq tha agar KHatm hua
hum to mail the ba-har-haal lahu dene par
ek teri tarz-e-taghaful se jigar KHatm hua
us ko bas mujh ko Dubone hi ki zid thi shayad
main jo Duba to mere sath bhanwar KHatm hua

Ghazal
Ham-safar yaad hain uske jo safar KHatm hua
Naqqash Abidi