ham-safar raaton ke sae ho gae
chand tare raston mein so gae
qissa-e-dil mein wafa ki baat par
us ne yun dekha ki hum chup ho gae
tum to koi ajnabi ho ajnabi
jo hamare the wo tum kya ho gae
manzilen aawaz de kar thak gain
qafile gard-e-safar mein kho gae
aaj tak aankhon mein ek taswir hai
go use dekhe zamane ho gae

Ghazal
Ham-safar raaton ke sae ho gae
Mushtaq Naqvi