اردو हिंदी
Ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main | Shaahi Shayari
ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main

Ghazal

Ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main

Ali Jawwad Zaidi

;

ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main
ek bayaban dar bayaban hai jidhar jata hun main

bazm-e-fikr o hosh ho ya mahfil-e-aish o nashat
har jagah se chand nishtar chand gham lata hun main

aa gai ai na-muradi wo bhi manzil aa gai
mujh ko kya samjhaenge wo un ko samjhata hun main

un ke lab par hai jo halke se tabassum ki jhalak
us mein apne aansuon ka soz bhi pata hun main

sham-e-tanhai bujha de jhilmilati shama bhi
in andheron mein hi aksar raushni pata hun main

himmat-afza hai har ek uftad rah-e-shauq ki
Thokaren khata hun girta hun sambhal jata hun main

un ke daman tak KHud apna hath bhi baDhta nahin
apna daman ho to har kanTe se uljhata hun main

shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rahbar
mujh pe KHud bhi khul nahin pata kidhar jata hun main