hum sab ko batate rahte hain ye baat purani kaam ki hai
das bis gharon mein charche hon tab ja ke jawani kaam ki hai
ye waqt abhi tham jaega mahaul mein dil ram jaega
bas aap yunhi baiThe rahiye ye raat suhani kaam ki hai
aasan bhi hai dushwar bhi hai dukh-sukh ka baDa bazar bhi hai
malum nahin to mujh se suno ye duniya diwani kaam ki hai
mashhur bhi hain badnam bhi hain KHushiyon ke nae paigham bhi hain
kuchh gham ke baDe inam bhi hain paDhiye to kahani kaam ki hai
jo log chale hain ruk ruk kar hamwar zamin par jhuk jhuk kar
wo kaise bataenge tum ko dariya ki rawani kaam ki hai
Ghazal
Hum sab ko batate rahte hain ye baat purani kaam ki hai
Anjum Barabankvi