hum sada hi aise the ki yun hi pazirai
jis bar KHizan aai samjhe ki bahaar aai
aashob-e-nazar se ki hum ne chaman-arai
jo shai bhi nazar aai gul-rang nazar aai
ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon
tu aur teri mahfil main aur meri tanhai
yak jaan na ho sakiye anjaan na ban sakiye
yun TuT gai dil mein shamshir-e-shanasai
us tan ki taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakkha hai maqtal mein ai chashm-e-tamashai
Ghazal
Hum sada hi aise the ki yun hi pazirai
Faiz Ahmad Faiz