hum raaz-e-giraftari-e-dil jaan gae hain 
phir bhi teri aankhon ka kaha man gae hain 
tu shola-e-jaan nikhat-e-gham saut-e-talab hai 
hum jaan-e-tamanna tujhe pahchan gae hain 
kya kya na tere shauq mein TuTe hain yahan kufr 
kya kya na teri rah mein iman gae hain 
is raqs mein shole ke koi sehr to hoga 
parwane baDi aan se qurban gae hain 
khinche hai mujhe dast-e-junun dasht-e-talab mein 
daman jo bachae hain gareban gae hain 
'baqar' hai isi gard-e-rah-e-dil ka parastar 
jis rah se kuchh sahab-e-diwan gae hain
        Ghazal
Hum raaz-e-giraftari-e-dil jaan gae hain
Sajjad Baqar Rizvi

