hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain
wo ghair ki banhon mein aaram se sote hain
hum ashk judai ke girne hi nahin dete
bechain si palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai be-dard zamane mein
sachchai ki rahon mein kanTe sabhi bote hain
andaz-e-sitam un ka dekhe to koi 'hasrat'
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain
Ghazal
Hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain
Hasrat Jaipuri