hum qatl ho gae nahin tujh ko KHabar hanuz
bandhe phire hai hum pe miyan tu kamar hanuz
sau sau tarah ke wasl ne marham rakhe wale
zaKHm-e-firaq hain mere waise hi tar hanuz
kholi thi KHwab-e-naz se kis ne ye uTh ke zulf
lati hai bu-e-naz nasim-e-sahar hanuz
wadon pe tere kaam bhi mera hua tamam
baaten hi tu banaya kiya yar par hanuz
jo dudh ka jala ho piye chhachh phunk phunk
hun wasl mein pe hijr se hai mujh ko Dar hanuz
bhule se tu ne pyar ki ek din kahi jo baat
rota hun dil hi dil mein use yaad kar hanuz
ujDe hazar shahr 'hasan' aur phir base
aabaad par hua na ye dil ka nagar hanuz
Ghazal
Hum qatl ho gae nahin tujhko KHabar hanuz
Meer Hasan