hum phaDak kar toDte sari qafas ki tiliyan
par nahin ai hum safiro! apne bas ki tiliyan
bahr-e-aiwan aur banwa chilman ai parda-nashin
ho gai bad-rang hain agle baras ki tiliyan
KHak mein na jins rahte hain na ahl-e-imtiyaz
ai falak banti nahin jarub KHas ki tiliyan
ain fasl-e-gul mein hi sayyaad-e-be-parwa ne aah
das ke par katre to kin aankhon mein das ki tiliyan
hirs-e-duniya chahti hai ye ki sim-o-zar ki hon
ye charagh-e-KHana-e-ahl-e-hawas ki tiliyan
imtiyaz-e-nek-o-bad KHud ho na jis ko ai 'nasir'
us ke nazdik ek hain KHashak-o-KHas ki tiliyan
Ghazal
Hum phaDak kar toDte sari qafas ki tiliyan
Shah Naseer