hum pe wo mehrban kuchh kam hai
is liye KHush-bayan kuchh kam hai
miT gaya hun par us ki nazron mein
ab bhi ye imtihan kuchh kam hai
shahr mein yun zamin to kafi hai
nilgun aasman kuchh kam hai
gham ke saman kuchh ziyaada hain
is mutabiq makan kuchh kam hai
sar chhupaun to panw jalte hain
mujh pe ye saeban kuchh kam hai
zindagi aur de azab mujhe
mujh pe aaed lagan kuchh kam hai
fasl-e-barud hai pahaDon par
is baras zafran kuchh kam hai
Ghazal
Hum pe wo mehrban kuchh kam hai
Nafas Ambalvi