hum pe sau zulm-o-sitam kijiyega
ek milne ko na kam kijiyega
bhagte KHalq se kuchh kaam nahin
qasd hai aap se ram kijiyega
gar yahi zulf o yahi mukhDa hai
ghaarat-e-dair-o-haram kijiyega
gar rahi yunhi gul-fishani-e-ashk
ja-ba-ja rashk-e-iram kijiyega
ji mein hai aaj bajae maktub
yahi bait us ko raqam kijiyega
mehrbani se phir ai banda-nawaz
kahiye kis roz karam kijiyega
nind aawegi na tanha 'bedar'
ta na KHwab us se baham kijiyega
Ghazal
Hum pe sau zulm-o-sitam kijiyega
Meer Mohammadi Bedar