hum pe rakhe gae ilzam na jaane kya kya
ban gae ek mohabbat ke fasane kya kya
manzil-e-dar-o-rasan qaid-e-sitam dasht-e-bala
pae hain ahl-e-mohabbat ne Thikane kya kya
koi andaz-e-nadamat koi nala koi ashk
DhunDe hain chashm-e-karam tu ne bahane kya kya
kabhi aandhi kabhi tufan kabhi shoale kabhi barq
mere gulshan pe bhi guzre hain zamane kya kya
daulat sabr-o-sukun gauhar-e-ashk-e-rangin
hum ne ghurbat mein luTae KHazane kya kya
nazar-e-ahl-e-mohabbat hi samajh sakti hai
lab-e-KHamosh pe hote hain fasane kya kya
ab mere samne jab koi gale milta hai
khinch ke aa jate hain aankhon mein zamane kya kiya
kabhi kaliyon ka tabassum kabhi taron ki chamak
dil taDapne ke bhi hote hain bahane kya kya
kabhi halka sa tabassum kabhi chinpi si nazar
hum se puchho ki lage dil pe nishane kya kya
hum KHata-kar-e-mohabbat hain ye hum se puchho
husn-e-masum ko aate hain bahane kya kya
an-ginat rose KHayalon ke mahal bante hain
sochta hai dil-e-betab na jaane kya kya
koi 'shaarib' koi 'mulla' koi 'ghaalib' koi 'mir'
manzil-e-ishq se guzre hain diwane kya kya
Ghazal
Hum pe rakhe gae ilzam na jaane kya kya
Sharib Lakhnavi