hum ne to yahi marka mara hai safar mein
manzil ki tarah baiTh gae rahguzar mein
wo sham-e-shab-anjam ki surat to nahin tha
ek pal mein shab-e-nisf utar aai hai ghar mein
ai nala-e-dil-doz taDap uTThi KHamoshi
hai marg-e-tamasha kisi aabaad nagar mein
hum KHak ke tude pe khaDe puchh rahe hain
kya lutf mila tum ko samundar ke safar mein
hum saya-e-diwar-e-shikasta mein paDe the
DhunDoge to paoge hamein saya-e-dar mein
ye marhala-e-qat-e-talluq to kaThin tha
ek dard ka dariya bhi hai ab dida-e-tar mein
ek umr ke rishton ko fana pal mein mili hai
hum DhunDne kya nikle hain sadiyon ke safar mein
tarik-o-KHunuk KHak ka paiwand hue hain
hum tol ke lae the jinhen lal-o-gohar mein
yun teri tarah dur ki manzil ke musafir
sab kuchh to nahin chhoD ke jate kabhi ghar mein
Ghazal
Humne to yahi marka mara hai safar mein
Shafqat Tanveer Mirza