hum ne to socha bhi nahin tha aisa din bhi aaega
apnon ka yun ruKH badlega sab se ji bhar jaega
dil mein jo hai sab kah Dalo waqt bahut kam baqi hai
kaun yahan hai dost tumhaara jo dushman ho jaega
kaise kaise pyare sathi kaisi kaisi baaten thin
kis ko kya malum tha yaro kaun kahan chhuT jaega
pyar ke badle nafrat pai nafrat bhi itni gahri
aisa kyun hai kyun hai aisa koi samajh na paega
mat puchho hum ko apnon ne kaise kaise zaKHm diye
gar ye qissa chheD diya to sab ka ji bhar aaega
aankhon mein ab ashk nahin hain sine mein ab aah nahin
us ki baat karo mat mujh se dard bahut baDh jaega
apna bhi ek yar tha aisa jis se kuchh kah lete the
ab jo dil ka bojh baDhega kis ke dar par jaega
pyar mohabbat lag lagao ke bare mein mat socho
raha-saha jo bharam bacha hai yun wo bhi uTh jaega
ghar se be-ghar ho kar hum to mare mare phirte hain
ye banjara dil dekho ab hum ko kidhar le jaega
hum ne to apni kah Dali tum bhi to kuchh apni kaho
dil ki baat karo kuchh yaro dil halka ho jaega
Ghazal
Humne to socha bhi nahin tha aisa din bhi aaega
Jafar Abbas