hum ne to KHak bhi dekha na asar rone mein
umr kyun khote ho ai dida-e-tar rone mein
raat kab aae tum aur kab gae malum nahin
jaan itni na rahi hum ko KHabar rone mein
jab talak ashk thamen baiTh agar aaya hai
teri surat nahin aati hai nazar rone mein
tujh ko ai dida-e-tar shaghl hai rona lekin
Duba jata hai yahan dil ka nagar rone mein
aalam-e-ishq mein majnun bhi baDa gaDha tha
yar majnun se bhi hum gaDe hain par rone mein
Ghazal
Humne to KHak bhi dekha na asar rone mein
Ishq Azimabadi