hum ne to kaT li hai saza aap KHush rahen
mahfuz tum ko rakkhe KHuda aap KHush rahen
do-pal mile KHushi ke hain un ko sanwar len
kal ki KHabar hai kis ko pata aap KHush rahen
paya sukun hum ne tha banhon mein aap ki
phir se nasib hoga wo kya aap KHush rahen
saman apna bandh ke tum uTh ke chal diye
chaaron taraf hai bahki hawa aap KHush rahen
chahe tamam zaKHm do ya do hamein dawa
hai aarzu ye dil ki sada aap KHush rahen
mahsus ho rahi hain baDhi dil ki dhaDkanen
antim paDaw ho na mera aap KHush rahen
'azar' zara si baat ko yun tul tum na do
ghussa nahin hai us ki dawa aap KHush rahen
Ghazal
Humne to kaT li hai saza aap KHush rahen
Purshottam Abbi Azer""