اردو हिंदी
Humne to justuju ko bhi hai muddaa kiya | Shaahi Shayari
humne to justuju ko bhi hai muddaa kiya

Ghazal

Humne to justuju ko bhi hai muddaa kiya

Masud Husain Khan

;

hum ne to justuju ko bhi hai muddaa kiya
yani ki dil ke dard ko husn-e-nawa kiya

har jumbish-e-nazar mein nihan tere inqalab
mujh ko ghaTa diya kabhi mujh ko siwa kiya

ai kash tera husn hi asl-e-hayat ho
teri nazar se hum ne haqiqat ko wa kiya

us dashna-e-nazar ka bhala aur kya jawab
hamdam mein dil ke chaak hi baiTha siya kiya

us rahguzar se ab wo na guzrega ai nadim
kuchh main ne kah diya tha magar us ne kya kiya

main us se sarKHushi mein wahi baat kah gaya
kitna bura kiya are kitna bura kiya

kya kya jatan kiye na mohabbat mein ai nadim
kya puchhte ho kya na kiya aur kya kiya

ab baz-gasht ki koi surat nikal sake
yun to tere baghair bhi ye dil jiya kiya

ek chumti hui si nazar Dal kar
'masud' tum ne ek sanam ko KHuda kiya