hum ne to is ishq mein yaro khinche hain aazar bahut
tum kuchh us ki baat karo hai jis se tum ko pyar bahut
log hum aise na-danon ko aaenge samjhane bhi
tera gham phir tera gham hai gham hai to gham-KHwar bahut
aae mausam-e-gul dekhen wo kis kis ko zanjir karen
ab ke suna hai ahl-e-chaman bhi baiThe hain bezar bahut
in ko behis jaan na saqi awwal-e-shab hai baada-nosh
raat Dhale mahsus karenge shishe ki jhankar bahut
apna apna husn-e-nazar hai apni apni manzil hai
shart mayassar aata hai to saya-e-zulf-e-yar bahut
Ghazal
Humne to is ishq mein yaro khinche hain aazar bahut
Rasa Chughtai