hum ne to be-shumar bahane banae hain
kahta hai dil ki but bhi KHuda ne banae hain
le le ke tera nam in aankhon ne raat bhar
tasbih-e-intizar ke dane banae hain
hum ne tumhaare gham ko haqiqat bana diya
tum ne hamare gham ke fasane banae hain
wo log mutmain hain ki patthar hain un ke pas
hum KHush ki hum ne aaina-KHane banae hain
bhanwre unhi pe chal ke karenge tawaf-e-gul
jo daere chaman mein saba ne banae hain
hum to wahan pahunch nahin sakte tamam umr
aankhon ne itni dur Thikane banae hain
aaj us badan pe bhi nazar aae talab ke dagh
diwar par bhi naqsh wafa ne banae hain
Ghazal
Humne to be-shumar bahane banae hain
Ghulam Mohammad Qasir