اردو हिंदी
Humne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa | Shaahi Shayari
humne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa

Ghazal

Humne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa

Bahadur Shah Zafar

;

hum ne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa
tu bhi na hua yar aur ek yar bhi chhoDa

kya hoga rafugar se rafu mera gareban
ai dast-e-junun tu ne nahin tar bhi chhoDa

din de ke gaya kufr ke bhi kaam se aashiq
tasbih ke sath us ne to zunnar bhi chhoDa

goshe mein teri chashm-e-siyah-mast ke dil ne
ki jab se jagah KHana-e-KHummar bhi chhoDa

is se hai gharibon ko tasalli ki ajal ne
muflis ko jo mara to na zardar bhi chhoDa

TeDhe na ho hum se rakho iKHlas to sidha
tum pyar se rukte ho to lo pyar bhi chhoDa

kya chhoDen asiran-e-mohabbat ko wo jis ne
sadqe mein na ek murgh-e-giraftar bhi chhoDa

pahunchi meri ruswai ki kyunkar KHabar us ko
us shoKH ne to dekhna aKHbar bhi chhoDa

karta tha jo yan aane ka jhuTa kabhi iqrar
muddat se 'zafar' us ne wo iqrar bhi chhoDa