hum ne phulon ko jo dekha lab-o-ruKHsar ke baad
phul dekhe na gae husn-e-ruKH-e-yar ke baad
kaam nazron se liya abru-e-KHamdar ke baad
tir mare mujhe us shoKH ne talwar ke baad
jis pe ho jaen fida koi bhi aisa na mila
saikDon dekhe hasin aap ke didar ke baad
dilrubai ki ada yun na kisi ne pai
mere sarkar se pahle mere sarkar ke baad
zindagi maut se kuchh kam na thi ai jaan-e-hayat
tere iqrar se pahle tere inkar ke baad
dil-o-jaan kar ke fida un ko banaya apna
ishq ke khel mein jit apni hui haar ke baad
chain phir aur kahin pa na sake ai 'purnam'
hum zamane mein phire kucha-e-dildar ke baad
Ghazal
Humne phulon ko jo dekha lab-o-ruKHsar ke baad
Purnam Allahabadi