hum ne pai lazzat-e-didar lekin dur se
un ki surat dekh li sau bar lekin dur se
wo dikhate hain hamein ruKHsar lekin dur se
is ka matlab hai ki kar lo pyar lekin dur se
us ne jaancha mera dard-e-dil magar aaya na pas
us ne dekha mera haal-e-zar lekin dur se
rauzan-e-diwar se hasrat bhari aankhen laDin
ho gain un se nigahen chaar lekin dur se
us ne aane ka kiya hai qaul lekin ta-ba-dar
us ne milne ka kiya iqrar lekin dur se
pas 'muztar' kis tarah jate hujum-e-yas mein
ho gaya un ka hamein didar lekin dur se
Ghazal
Humne pai lazzat-e-didar lekin dur se
Muztar Khairabadi